Aaj na jane kyun rone ko dil karta hai;
Hansii se kahin door hone ko dil karta hai...
Aaine ka samna hone se dil darta hai;
kyun ki khud se nazrein churane ko dil karta hai....
Wo masti ,wo doston ki baaton ka shor ab acha nahin lagta;
Khamoshi ko sathi banane ko dil karta hai...
Nahin rehna bheed mein ,naahin talaash hai kissi sath ki;
khud sath hoon apne,bas ussi ke sath rehne ko dil karta hai....
Aj na jane kyun rone ko dil karta hai...
Bas rone ke liye khud ko galat manne ko dil karta hai....